Share
Sign In

Youtube Short Script and Content

Day 1: How to Better Your Resume
Hook: "Resume banane ki kaafi saari common tips hoti hain, par impactful wahi hain jo sach mein kaam aati hain! wo mein apko batata hoo jisse Ab aapka resume kisi bhi recruiter ka attention kaise easily grab kar sakta h? Ye tips ek game changer!"
Script: "
Tip 1 – Sabse pehli baat, aapka resume scannable hona chahiye. Yani recruiter aapka resume 10-30 seconds mein easily scan kar sake. Toh kya karo? Clear sections banao aur tailor karo apni job ke according.
Tip 2 – Single page resume zyada impactful hota hai. Multiple pages mein mat ghuso, concise aur clear raho. Remember, quality wins over quantity!
Tip 3 – Achievements ko quantify karo aur left-aligned raho. Numbers ka use karo to show your impact – like 'Increased sales by 20%,' and sab kuch left-aligned rakho, ye recruiter ki attention grab karta hai!
Hi guys! Main hoon Swapnil Gupta, aur welcome to Day 1 of our 21-Day Portfolio Challenge. Aaj baat karenge resume ko kaise better banaya jaaye with 3 solid tips jo aapko instant edge denge.
Chalo, ab milke apne portfolios ko upgrade karte hain! πŸ‘
Whatsapp Group link yeh raha, join karo aur QR scan kar ke apna progress and doubts share karo, already 100 se zyda members h

https://bit.ly/21DaysWAGroup
."




Day 2
Day 2: Free Websites for Resume
Hook: "Free mein resume banana hai? aaj bhi word and docs par sturggle kar rahe ho, struggle chhodo aur Yeh websites use kar ke life easy and fast banao"
Script: "Day 2 mein hum baat karenge kuch amazing free websites ke baare mein jahan aap apna resume bana sakte ho:
FlowCV – Simple aur elegant resumes banane ke liye perfect.
NovoResume – Best templates ke saath aapka resume shine karega.
LinkedIn – LinkedIn par apne resume ko aur profile ko ekdum professional banakar resume download kar sakte, linkedin better karne ke liye linkedin challenges wale videos aaaj hi dekh le , ek hi saath dono kaam
in sab par aap free mein resume bana sakte ho, aur design bhi premium quality ka milega!"
CTA: "Kal ke day 3 mein aap bina coding ke portfolio kaise bana sakte hain uspar baat karenge. See you tomorrow!"
Day 3
Hook: "Portfolio website banana hai, lekin coding nahi aati? Tension nahi, yeh 3 tools kaafi hain!"
Script: "Toh guys, Day 3 pe hum discuss kar rahe hain 3 awesome tools jo aapko bina coding ke portfolio banane mein help karenge:
SnapCV – AI ke saath super fast aur effective portfolio banaiye. Time bachaaiye, impact dikhaiye!
Carrd ya Framer – Simple aur creative one-page portfolio, no coding required.
Canva aur Wix – Yeh dono aapko customize karne ka full freedom deti hain, kaafi creative designs banane ke liye perfect!
GitHub Pages and Behance – Especially for techies, yeh best hai portfolio showcase ke liye.
In tools ko use karo, and you’ll have a standout portfolio in no time!"
CTA: "Day 4 mein aapko bataunga kaise apni identity aur profile ko properly structure karein. Join the group for updates: https://bit.ly/21DaysWAGroup."
Day 4
Day 4: Finding Your Identity and Structuring Your Profile Accordingly
Hook: "kaam bhaut aata h but decide nahi kar paa rhe ho, choose kya kare ya portfolio mein kya add kare, Aapka portfolio sirf kaam nahi, aapki identity bhi reflect kartra h. Kaise? Let’s discuss!"
Script: "Day 4 hai aur aaj hum baat karenge apne profile ko apni identity ke according structure karne ki. Sabse pehle, aapki personal branding zaroori hai. Aap kis field mein ho aur aap apni skills ko kaise dikhana chahte ho, yeh sab aapke portfolio mein dikhega.
Maine kuch similar profiles ke examples Day 2 ke document mein daal diye hain, unko zaroor check kar lena. Uske saath, maine ek Notion page banaya hai jismein different sources se curated data ek jagah pe organized hai. Aapko wahi se inspiration milega. Aap bhi ek aisa Notion page apne liye banao, ideas lo existing profiles se aur fir unhe apne naye portfolio mein implement karo!"
CTA: "Kal ke video mein step-by-step profile structure ka process share karunga, so make sure aap bell icon dabao! Aur group join karo for updates: https://bit.ly/21DaysWAGroup."
Day 5:
Job search ke liye time hai aur aap confused ho ke kaha se start kare? Chill, kyunki aaj mai aapke liye laaya hoon top 3 tools jo aapki job search ko banayenge super smooth!"
Main Content:
"Number 1: Huntr – Yeh tool ek visual tracker jaisa hai, jisme aap apne applied, saved, aur in-progress jobs ko manage kar sakte ho. Job search ko organize karna kabhi itna easy nahi tha!"
"Number 2: Teal HQ – Teal aapki profile aur resume ko tailor karne mein help karta hai har job ke liye, aur saath hi interview prep aur job tracking bhi manage kar sakte hain!"
"Number 3: Simplify – Yeh portal aapke liye job applications ko streamline karta hai aur application tracking ko effortless banata hai."
"Lastly, JobScan – Yeh tool ATS se beat karne mein help karta hai, aapka resume keywords ke basis pe analyze karta hai taaki aapka application standout ho!"
"Yeh 4 tools aapke job search mein ek game-changer banenge! Aur aise aur bhi hacks ke liye channel zaroor follow karna. Milte hain agle video mein!"